kash ek shab ke liye KHud ko mayassar ho jaen
farsh-e-shabnam se uThen aur gul-e-tar ho jaen
dekhne wali agar aankh ko pahchan saken
rang KHud parda-e-taswir se bahar ho jaen
tishnagi jism ke sahra mein rawan rahti hai
KHud mein ye mauj samo len to samundar ho jaen
wo bhi din aaen ye bekar guzarte shab-o-roz
teri aankhen tere bazu tera paikar ho jaen
apni palkon se jinhen noch ke phenka hai abhi
kya karoge jo yahi KHwab muqaddar ho jaen
jo bhi narmi hai KHayalon mein na hone se hai
KHwab aankhon se nikal jaen to patthar ho jaen
Ghazal
Kash ek shab ke liye KHud ko mayassar ho jaen
Tauseef Tabassum