kar-e-wahshat mein bhi majbur hai insan ab tak
hath apna hai aur apna hi gareban ab tak
dhajjiyan mere gareban ki uDi phirti hain
gunjta hai mere naron se bayaban ab tak
kab se main kunj-e-gham-e-dil mein chhupa baiTha hun
yaad karti hai mujhe shorish-e-dauran ab tak
mere hisse mein bhi hai daulat-e-bedari-e-shab
ek KHalish si hai mata-e-gham-e-pinhan ab tak
but-kada TuT ke kabe ki bana Dal gaya
dil jo ujDa to hai ek umr se viran ab tak
tu guzargah-e-tamanna mein tha ek partw-e-mah
main andheron mein bhaTakta hun hirasan ab tak
tu wo suraj tha ki mausam ki na thi tujh ko KHabar
main hun aandhi mein charagh-e-tah-e-daman ab tak
mere ehsas ki garmi mere dil ki barsat
sab ruten hain teri aankhon se numayan ab tak
ek surat thi jo aankhon mein liye phirta hun
ek wahshat thi jo rakhti hai pareshan ab tak
chand yaaden hain meri zist ka hasil 'baqar'
inhin yaadon ke sahaare hun ghazal-KHwan ab tak
Ghazal
Kar-e-wahshat mein bhi majbur hai insan ab tak
Sajjad Baqar Rizvi