kar-e-KHair itna to ai laghzish-e-pa ho jata
pae saqi pe hi ek sajda ada ho jata
wo to ye kahiye ki majbur hai nazm-e-hasti
warna har banda-e-maghrur KHuda ho jata
qafile wale the mahrum-e-basirat warna
mera har naqsh-e-qadam rah-numa ho jata
gham ke maron pe bhi ai dawar-e-hashr ek nazar
aaj to faisla-e-ahal-e-wafa ho jata
yun andheron mein bhaTakte na kabhi ahl-e-KHirad
koi diwana agar rah-numa ho jata
dil teri nim-nigahi ka to mamnun sahi
dard abhi kam hai zara aur siwa ho jata
lazzat-e-gham se hai zid fitrat-e-gham ko shayad
dard hi dard na kyun dard dawa ho jata
sun ke bhar aata agar un ka bhi dil ai 'ejaz'
qissa-e-dard ka unwan naya ho jata
Ghazal
Kar-e-KHair itna to ai laghzish-e-pa ho jata
Ejaz Warsi