kanch ke shahr mein patthar na uThao yaro
mai-kada hai ise maqtal na banao yaro
sahn-e-maqtal mein bhi mai-KHana sajao yaro
shab ke sannaTe mein hangama machao yaro
zindagi bikne chali aai hai bazaron mein
is janaze ke bhi kuchh dam lagao yaro
jin ki shah-e-rag ka lahu phul ki angDai tha
un ko ab haal-e-gulistan na batao yaro
phailte saya-e-shab mein na chalo ruk ruk ke
bujhti rahon ko kaf-e-pa se sajao yaro
bazm-e-yaran mein wo kuchh soch ke aaya hoga
aise diwane ko Thokar na lagao yaro
raat Dhal jaegi mai-KHana sambhal jaega
koi naghma koi paigham sunao yaro
zindagi rengti phirti hai yahan kasa-ba-kaf
us ko ab waqt ka aaina dikhao yaro
ab dhundlakon mein bhi hai taza ujalon ka 'KHayal'
shab ki diwar saliqe se girao yaro
Ghazal
Kanch ke shahr mein patthar na uThao yaro
Faiz ul Hasan