kan laga kar sunti raaten baaten karte din
kahan gain wo achchhi raaten baaten karte din
ek hi manzar shahr pe apne kab se Thahra hai
kuchh soi kuchh jagi raaten baaten karte din
diwanon ke KHwab ki surat an-mil aur bejoD
apne aap se laDti raaten baaten karte din
jaane kab ye mel karenge ek-duje ke sath
KHamoshi mein Dubi raaten baaten karte din
tanhai ke KHauf ki dekho kya kya shaklen hain
sannaTe mein lipTi raaten baaten karte din
'amjad' apne sath rahenge kab tak raston mein
gahri soch mein uljhi raaten baaten karte din
Ghazal
Kan laga kar sunti raaten baaten karte din
Amjad Islam Amjad