kaam koi to kabhi waqt se aage kar ja
ai dil-e-zinda mere marne se pahle mar ja
saghar-e-chashm ko zahrab se KHali kar de
aur jo bharta hai tu paimana-e-hasti bhar ja
tishnagi kam ho magar dur na hone pae
apne pyase ko na sairab-e-mohabbat kar ja
KHak se ta-ba-falak KHwab ka phaila daman
koi koshish na kahin aur tamanna har ja
tu musafir tere kis kaam ki shohrat 'sayyad'
ye saKHawat sar-e-dahliz-e-rafiqan dhar ja

Ghazal
Kaam koi to kabhi waqt se aage kar ja
Muzaffar Ali Syed