kaam itni hi faqat rahguzar aaegi
ham-safar jaega aur yaad-e-safar aaegi
dur tak ek KHala hai so KHala ke andar
sirf tanhai ki surat hi nazar aaegi
main ne socha tha magar ye to nahin socha tha
tirgi ruh ke aangan mein utar aaegi
jagne wala koi soya hamesha ke liye
ab to matam hi karegi jo sahar aaegi
ek ajab bu-e-nafas aati hai diwaron se
aur kuchh roz mein ye bhi na idhar aaegi
hae kya log the zindan mein bhi hum se pahle
ek din is yaad ki surat bhi bikhar aaegi
paDh raha hun main 'zafar' us ke bichhaDne ki KHabar
aur kuchh roz mein apni bhi KHabar aaegi
Ghazal
Kaam itni hi faqat rahguzar aaegi
Sabir Zafar