kaam ishq-e-be-sawal aa hi gaya
KHud-ba-KHud us ko KHayal aa hi gaya
tu ne pheri lakh narmi se nazar
dil ke aaine mein baal aa hi gaya
do meri gustaKH nazron ko saza
phir wo na-gufta sawal aa hi gaya
zindagi se laD na paya josh-e-dil
rafta rafta e'tidal aa hi gaya
husn ki KHalwat mein darraata hua
ishq ki dekho majal aa hi gaya
gham bhi hai ek parda-e-izhaar-e-shauq
chhup ke aansu mein sawal aa hi gaya
wo ufuq par aa gaya mehr-e-shabab
zindagi ka mah-o-sal aa hi gaya
be-KHudi mein kah chala tha raaz-e-dil
wo to kahiye kuchh KHayal aa hi gaya
hum na kar pae KHata buzdil zamir
le ke taswir-e-maal aa hi gaya
ibtida-e-ishq ko samjhe the khel
marne jine ka sawal aa hi gaya
lakh chaha hum na len gham ka asar
ruKH pe ek rang-e-malal aa hi gaya
bach ke jaoge kahan 'mulla' koi
hath mein le kar gulal aa hi gaya
Ghazal
Kaam ishq-e-be-sawal aa hi gaya
Anand Narayan Mulla