اردو हिंदी
Kaam aa gai hai gardish-e-dauran kabhi kabhi | Shaahi Shayari
kaam aa gai hai gardish-e-dauran kabhi kabhi

Ghazal

Kaam aa gai hai gardish-e-dauran kabhi kabhi

Iqbal Abidi

;

kaam aa gai hai gardish-e-dauran kabhi kabhi
dekhi hai zulf-e-yar pareshan kabhi kabhi

KHun-e-jigar se aatish-e-sozan ko shah mili
KHud dard ban ke rah gaya darman kabhi kabhi

tufan ki Thokaron se kinara kabhi mila
sahil se aa ke le gaya tufan kabhi kabhi

wahshat ne mujh ko bazm-e-tarab se uTha diya
nikla us anjuman se pareshan kabhi kabhi

aksar KHushi hi ban gai hai dushman-e-sukun
gham ban gaya sukut ka saman kabhi kabhi

dast-e-KHirad ne maslahatan chaak bhi kiya
si bhi liya junun ne gareban kabhi kabhi

diwanon mein shumar hua us gharib ka
'iqbaal' ho gaya jo ghazal-KHwan kabhi kabhi