kali ghaTa kab aaegi fasl-e-bahaar mein
aankhen safed ho gain is intizar mein
kyun kar qarar aae dil-e-be-qarar mein
tum pure kab utarte ho qaul-o-qarar mein
tarik dasht ho gaya aankhon mein qais ki
pinhan hua jo naqa-e-laila ghubar mein
aae kabhi na phir tujhe sair-e-chaman mein lutf
baiThe agar tu aa ke dil-e-dagh-dar mein
lazim nahin ki mard musibat mein ho malul
KHandan hamesha rahta hai gul KHarzar mein
hai ye kisi ki chashm-e-siyah-mast ka asar
tauba bhi laDkhaDane lagi hai bahaar mein
hote wahan jo 'dagh' to dilli bhi dekhte
ab kya karenge ja ke us ujDe dayar mein
kya KHak apne dil ko tamanna-e-sher ho
juz KHar kuchh nahin chaman-e-rozgar mein
juz 'dagh' aaj bulbul-e-hindustan hai kaun
kahte hain hum pukar ke ye sau hazar mein
ai 'mashriqi' nasib na su-e-dua hai ye
kya gham jo jagta hun shab-e-intizar mein

Ghazal
Kali ghaTa kab aaegi fasl-e-bahaar mein
Sardar Genda Singh Mashriqi