kale kapDe nahin pahne hain to itna kar le
ek zara der ko kamre mein andhera kar le
ab mujhe par utar jaane de aisa kar le
warna jo aae samajh mein teri dariya kar le
KHud-ba-KHud rasta de dega ye tufan mujhe
tujh ko pane ka agar dil ye irada kar le
aaj ka kaam tujhe aaj hi karna hoga
kal jo karna hai to phir aaj taqaza kar le
ab baDe logon se achchhai ki ummid na kar
kaise mumkin hai karaila koi miTha kar le
gar kabhi rona hi paD jae to itna rona
aa ke barsat tere samne tauba kar le
muddaton baad wo aaega hamare ghar mein
phir se ai dil kisi ummid ko zinda kar le
ham-safar laila bhi hogi main tabhi jaunga
mujh pe jitne bhi sitam karne hon sahra kar le
Ghazal
Kale kapDe nahin pahne hain to itna kar le
Munawwar Rana