kahish-e-gham ne jigar KHun kiya andar se
hum ne bahar bhi yahi zahr piya andar se
zinda lagta hun to ye fan hai mere sahir ka
in nigahon ne mujhe khinch liya andar se
wo bhi ro ro ke bujha Dala hai ab aankhon ne
raushni deta tha jo ek diya andar se
mizha-e-multafit-e-yar hai badnam abas
us ne to dil ka bas ek chaak siya andar se
koi bahar bhi to dekhe meri gulgun ashk
dil ki pur-KHuni ne kya rang kiya andar se
Ghazal
Kahish-e-gham ne jigar KHun kiya andar se
Iqbal Kausar