kaghaz tha main diye pe mujhe rakh diya gaya
ek aur martabe pe mujhe rakh diya gaya
ek be-badan ka aks banaya gaya hun main
be-ab aaine pe mujhe rakh diya gaya
kuchh to khinchi khinchi si thi saat visal ki
kuchh yun bhi fasle pe mujhe rakh diya gaya
munh-mange dam de ke KHarida aur us ke baad
ek KHas zawiye pe mujhe rakh diya gaya
kal raat mujh ko chori kiya ja raha tha yar
aur mere jagne pe mujhe rakh diya gaya
achchha bhala paDa tha main apne wajud mein
duniya ke raste pe mujhe rakh diya gaya
pahle to meri miTTi se mujh ko kiya charagh
phir mere maqbare pe mujhe rakh diya gaya
'anjum' hawa ke zor pe jaana hai us taraf
pani ke bulbule pe mujhe rakh diya gaya
Ghazal
Kaghaz tha main diye pe mujhe rakh diya gaya
Anjum Saleemi