اردو हिंदी
Kaghaz pa harf harf nikhar jaana chahiye | Shaahi Shayari
kaghaz pa harf harf nikhar jaana chahiye

Ghazal

Kaghaz pa harf harf nikhar jaana chahiye

Akhilesh Tiwari

;

kaghaz pa harf harf nikhar jaana chahiye
be-chehragi ko rang mein bhar jaana chahiye

mumkin hai aasman ka rasta inhin se ho
nile samundaron mein utar jaana chahiye

har-dam badan ki qaid ka rona fuzul hai
mausam sadaen de to bikhar jaana chahiye

sahra mein kaun bhik kise dega chhanw ki
KHud apni oT mein hi Thahar jaana chahiye

tanha safar mein raat ke is pichhle waqt mein
aawaz koi de to kidhar jaana chahiye

jis se bichhaD ke ho gae sahra-naward hum
ab tak to us ke zaKHm bhi bhar jaana chahiye

pani ko rokti ho jo 'akhilesh'-ji ana
KHud pyas ko nadi mein utar jaana chahiye