kaghaz ki naw kya hui dariya kidhar gaya
bachpan ko jo mila tha wo lamha kidhar gaya
madum sab huin wo tajassus ki bijliyan
hairat mein Dal de wo tamasha kidhar gaya
phir yun hua ki log mashinon mein Dhal gae
wo dost lab pe le ke dilasa kidhar gaya
kya dasht-e-jaan ki soKHta-haali kahen ise
chahat mein chand chhune ka jazba kidhar gaya
tarikiyan hain sath mere aur safar mudam
kal tak tha ham-qadam jo farishta kidhar gaya
jo rahnuma the mere kahan hain wo naqsh-e-pa
manzil pe chhoDta tha jo rasta kidhar gaya
Ghazal
Kaghaz ki naw kya hui dariya kidhar gaya
Javed Nadeem