اردو हिंदी
Kaghaz ke bane phul jo gul-dan mein rakhna | Shaahi Shayari
kaghaz ke bane phul jo gul-dan mein rakhna

Ghazal

Kaghaz ke bane phul jo gul-dan mein rakhna

Ishaq Veerdag

;

kaghaz ke bane phul jo gul-dan mein rakhna
titli ki udasi ko bhi imkan mein rakhna

main ishq hun aur mera nahin koi Thikana
ai husn mujhe dida-e-hairan mein rakhna

shayad main kisi aur zamane mein bhi aaun
mumkin to nahin hai magar imkan mein rakhna

ab markazi kirdar tumhaara hai mere dost
tum meri kahani ko zara dhyan mein rakhna

ye rah-e-mohabbat to faqat band gali hai
aasan se raste ko bhi saman mein rakhna