kafir tujhe allah ne surat to pari di
par haif tere dil mein mohabbat na zari di
di tu ne mujhe saltanat-e-bahr-o-bar ai ishq
honTon ko jo KHushki meri aankhon ko tari di
KHal-e-lab-e-shirin ka diya bosa kab us ne
ek chaT lagane ko mere nishkari di
kafir tere sauda-e-sar-e-zulf ne mujh ko
kya kya na pareshani o aashufta-sari di
mehnat se hai azmat ki zamane mein nagin ko
be-kawish-e-sina na kabhi namwari di
sayyaad ne di ruKHsat-e-parwaz par afsos
tu ne na ijazat mujhe be-baal-o-pari di
kahta tera kuchh soKHta-jaan lek ajal ne
fursat na use misl-e-charagh-e-sahari di
qassam-e-azal ne na rakha hum ko bhi mahrum
garche na diya koi hunar be-hunari di
us chashm mein hai surme ka dumbaala pur-ashob
kyun hath mein badmast ke banduq bhari di
dil de ke kiya hum ne teri zulf ka sauda
ek aap bala apne liye mol KHaridi
saqi ne diya kya mujhe ek saghar-e-sarshaar
goya ki do aalam se 'zafar' be-KHabari di
Ghazal
Kafir tujhe allah ne surat to pari di
Bahadur Shah Zafar