اردو हिंदी
Kabe ko jaen kis liye aur kyun kunisht ko | Shaahi Shayari
kabe ko jaen kis liye aur kyun kunisht ko

Ghazal

Kabe ko jaen kis liye aur kyun kunisht ko

Kishan Kumaar Waqaar

;

kabe ko jaen kis liye aur kyun kunisht ko
pahunchin yahin se bandagiyan sang-o-KHisht ko

gar husn-e-gandumi tera un ko na tha pasand
aadam ne chhoDa kis liye bagh-e-bahisht ko

hai mere aage ek gul-o-KHar-o-nek-o-bad
allah ne banaya hai har KHub-o-zisht ko

barish zarur chahiye abr-e-fareb ki
shatranj san jo chahe koi sabz-e-kisht ko

laya KHuda jo baad-e-anasir zuhur mein
qaem kiya hai mujh se par un ki sarisht ko

likkha KHat-e-shikasta mein hai yak-qalam waqar
munshi-e-asman ne meri sarnawisht ko