kabe ki hai hawas kabhi ku-e-butan ki hai
mujh ko KHabar nahin meri miTTi kahan ki hai
sun ke mera fasana unhen lutf aa gaya
sunta hun ab ki roz talab qissa-KHwan ki hai
paigham-bar ki baat par aapas mein ranj kya
meri zaban ki hai na tumhaari zaban ki hai
kuchh tazgi ho lazzat-e-azar ke liye
har dam mujhe talash nae aasman ki hai
jaan-bar bhi ho gae hain bahut mujh se nim-jaan
kya gham hai ai tabib jo puri wahan ki hai
hasrat baras rahi hai hamare mazar par
kahte hain sab ye qabr kisi naujawan ki hai
waqt-e-KHiram-e-naz dikha do juda juda
ye chaal hashr ki ye rawish aasman ki hai
fursat kahan ki hum se kisi waqt tu mile
din ghair ka hai raat tere pasban ki hai
qasid ki guftugu se tasalli ho kis tarah
chhupti nahin wo baat jo teri zaban ki hai
jaur-e-raqib o zulm-e-falak ka nahin KHayal
tashwish ek KHatir-e-na-mehrban ki hai
sun kar mera fasana-e-gham us ne ye kaha
ho jae jhuT sach yahi KHubi bayan ki hai
daman sambhaal bandh kamar aastin chaDha
KHanjar nikal dil mein agar imtihan ki hai
har har nafas mein dil se nikalne laga ghubar
kya jaane gard-e-rah ye kis karwan ki hai
kyunki na aate KHuld se aadam zamin par
mauzun wahin wo KHub hai jo sunte jahan ki hai
taqdir se ye puchh raha hun ki ishq mein
tadbir koi bhi sitam-e-na-gahan ki hai
urdu hai jis ka nam hamin jaante hain 'dagh'
hindostan mein dhum hamari zaban ki hai
Ghazal
Kabe ki hai hawas kabhi ku-e-butan ki hai
Dagh Dehlvi