اردو हिंदी
Kaba mahdud hai paband-e-sanam-KHana hai | Shaahi Shayari
kaba mahdud hai paband-e-sanam-KHana hai

Ghazal

Kaba mahdud hai paband-e-sanam-KHana hai

Masood Maikash Muradabadi

;

kaba mahdud hai paband-e-sanam-KHana hai
ishq har qaid-e-KHayalat se begana hai

kis qadar shoKH meri fitrat-e-rindana hai
lab pe hai nam KHuda hath mein paimana hai

KHak hone pe bhi daman sharar hi mein raha
kis qadar shoala-fishan fitrat-e-parwana hai

faisla jazba-e-wahshat hai tujhi par mauquf
ye qafas hai ye gulistan hai ye virana hai

fursat-e-fikr-o-samaat hai to sun lo aa kar
dil ki dhaDkan mein nihan dard ka afsana hai

justaju-e-haram-o-dair nahin hai 'maikash'
dil hi kaba hai mera dil hi sanam-KHana hai