kaba hai agar shaiKH ka masjud-e-KHalaiq
har but hai mere der ka mabud-e-KHalaiq
nuqsan se aur nafa se kuchh apne nahin kaam
har aan hai manzur mujhe sud-e-KHalaiq
main dast-e-dua us ki taraf kyunki uThaun
hota hi nahin charKH se maqsud-e-KHalaiq
phirta hai falak fikr mein gardish mein ye sab ki
hargiz ye nahin chahta bahbud-e-KHalaiq
'taban' mere mazhab ko tu mat puchh ki kya hai
maqbul hun KHallaq ka mardud-e-KHalaiq
Ghazal
Kaba hai agar shaiKH ka masjud-e-KHalaiq
Taban Abdul Hai