kaba bhi hai TuTa hua but-KHana hamara
yarab rahe aabaad ye virana hamara
baatin ki tarah pak hai KHum-KHana hamara
kyun kar na achhuta rahe paimana hamara
jo shama hua karti hai raushan sar-e-bazar
us shama pe girta nahin parwana hamara
saqi tera mai-KHana rahe hashr tak aabaad
bhar jata hai kashkol-e-gadayana hamara
bah jaega is bazm mein ek faiz ka dariya
aata hai chhalakta hua paimana hamara
chal su-e-adam chal hamein kya uzr hai ai maut
tayyar hai saman-e-gharibana hamara
ban jata hai phir shaiKH ka bhi murshid-e-kaamil
Dagta nahin pita hai jo paimana hamara
kis zulf ko suljhaen raqiban-e-siyah-kar
chhuta nahin is zulf ko phir shana hamara
fariyaad-kunan hain kisi pazeb ke dane
toDe kahin zanjir na diwana hamara
KHaron se ye kah do ki gul-e-tar se na uljhen
sikhe koi andaz-e-sharifana hamara
tasir na ho 'shad' to dena hamein ilzam
kuchh der to sun waiz hakimana hamara
Ghazal
Kaba bhi hai TuTa hua but-KHana hamara
Shad Azimabadi