juz rishta-e-KHulus ye rishta kuchh aur tha
tum mere aur kuchh main tumhaara kuchh aur tha
jo KHwab tum ne mujh ko sunaya tha aur kuchh
tabir kah rahi hai ki sapna kuchh aur tha
ham-rahiyon ko jashn manane se thi gharaz
manzil hanuz dur thi rasta kuchh aur tha
ummid-o-bim, ishrat-o-usrat ke darmiyan
ek kashmakash kuchh aur thi, kuchh tha kuchh aur tha
hum bhi the yun to mahw-e-tamasha-e-dahr par
dil mein khaTak si thi ki tamasha kuchh aur tha
jo baat tum ne jaisi suni Thik hai wahi
main kya kahun ki yar ye qissa kuchh aur tha
'ahmad' ghazal ki apni rawish apne taur hain
main ne kaha kuchh aur hai socha kuchh aur tha
Ghazal
Juz rishta-e-KHulus ye rishta kuchh aur tha
Mohammad Ahmad