juz qais aur koi na aaya ba-ru-e-kar
sahra magar ba-tangi-e-chashm-e-hasud tha
aashuftagi ne naqsh-e-suwaida kiya durust
zahir hua ki dagh ka sarmaya dud tha
tha KHwab mein KHayal ko tujh se muamla
jab aankh khul gai na ziyan tha na sud tha
leta hun maktab-e-gham-e-dil mein sabaq hanuz
lekin yahi ki raft gaya aur bud tha
Dhanpa kafan ne dagh-e-uyub-e-barahnagi
main warna har libas mein nang-e-wajud tha
teshe baghair mar na saka kohkan 'asad'
sargashta-e-KHumar-e-rusum-o-quyud tha
aalam jahan ba-arz-e-bisat-e-wajud tha
jun subh chaak-e-jeb mujhe tar-o-pud tha
bazi-KHur-e-fareb hai ahl-e-nazar ka zauq
hangama garm-e-hairat-e-bud-o-nabud tha
aalam tilism-e-shahr-e-KHamoshi hai sar-basar
ya main gharib-e-kishwar-e-guft-o-shunud tha
tangi rafiq-e-rah thi adam ya wajud tha
mera safar ba-tala-e-chashm-e-hasud tha
tu yak-jahan qamash-e-hawas jama kar ki main
hairat-mata-e-alam-e-nuqsan-o-sud tha
gardish-muhit-e-zulm raha jis qadar falak
main paemal-e-ghamza-e-chashm-e-kabud tha
puchha tha garche yar ne ahwal-e-dil magar
kis ko dimagh-e-minnat-e-guft-o-shunud tha
KHur shabnam-ashna na hua warna main 'asad'
sar-ta-qadam guzarish-e-zauq-e-sujud tha
Ghazal
Juz qais aur koi na aaya ba-ru-e-kar
Mirza Ghalib