juz aur kya kisi se hai jhagDa faqir ka
kutton ne rok rakkha hai rasta faqir ka
ujla hai us se baDh ke kahin ruh ka libas
maila hai jis qadar bhi ye kurta faqir ka
jab dhup ke safar mein mera ham-safar bana
bargad se bhi ghana laga saya faqir ka
dariya kabhi palaT ke nahin aaya aaj tak
badlega kis tarah se irada faqir ka
kuTiya ka ho ki koi mahal ka muqim ho
har aadmi ke sath hai rishta faqir ka

Ghazal
Juz aur kya kisi se hai jhagDa faqir ka
Rashid Ameen