اردو हिंदी
Jun shama dam-e-subh main yan se safari hun | Shaahi Shayari
jun shama dam-e-subh main yan se safari hun

Ghazal

Jun shama dam-e-subh main yan se safari hun

Qayem Chandpuri

;

jun shama dam-e-subh main yan se safari hun
Tuk muntazir-e-jumbish-e-baad-e-sahari hun

ne girya-e-shab hun main na aah-e-sahari hun
jun bang-e-jaras ham-nafas-e-be-asari hon

jata hun main jidhar ko wo munh phere hai mujh se
goya ki main gard-e-qadam-e-rah-guzri hun

dekha na main juz-saya-e-bazu-e-shikasta
hirman-zada jun hasrat-e-be-baal-o-pari hun

main pairahan apne main samata nahin jun gul
jis waqt se aamada pae-jama-dari hun

sau KHizr se kam-hausla wan ji se gae hain
jis dasht-e-KHatarnak ka main rah-guzri hun

jun sard rakha sang-e-jafa se mujhe aazad
marhun tera ji se main ai be-samari hun

kya kam hun sikandar se agar dekhiye mujh ko
aaina-sifat malik-e-KHushki-o-tari hun

kis bazm mein dekhi hai wo jhamki ki main 'qaem'
jun shama sada mahw-e-pareshan-nazari hun