اردو हिंदी
Jun qadam yar ne ghar se mere dar par rakkha | Shaahi Shayari
jun qadam yar ne ghar se mere dar par rakkha

Ghazal

Jun qadam yar ne ghar se mere dar par rakkha

Shah Kamaluddin Kamal

;

jun qadam yar ne ghar se mere dar par rakkha
sar rakha zanu pe main hath jigar par rakkha

hum ko sayyaad ne rakkha jo qafas mein to aah
dast-e-shafqat kabhi zalim ne na sar par rakkha

sang-e-rah us ki gali ka jo koi hath aaya
misl-e-gul main ne uTha kar use sar par rakkha

baiThe baiThe tujhe kaun aa gaya yaad aaj 'kamal'
tu ne rumal jo le dida-e-tar par rakkha