jun bhi jo rengne nahin deti thi kan par
kalak laga ke chhoD gai KHandan par
mail hain zehn-o-fikr jo unchi uDan par
yun panw hain zamin pe nazar aasman par
aaram se hain unchi imaraat ke makin
patthar baras rahe hain shikasta-makan par
arzan-farosh par nahin uThti nazar koi
rahti hai bhiD shahr ki mahngi dukan par
jaise badan mein jaan hi baqi nahin rahi
mahsus ho raha hai safar ki takan par
biphre samundaron pe barasta chala gaya
aaya na abr dhup mein tapte makan par
dil reza reza hai to jigar hai lahu lahu
kaisi bani hui hai mohabbat ki jaan par
han rahrawo milegi tumhein manzil-e-hayat
chalte raho hamare qadam ke nishan par
KHuddari-e-jamal gawara na kar saki
us ne masal ke phenk diya phul lawn par
'baghi' bhaTak raha hun main sahra-e-shauq mein
kya naqsh us ne likh ke khilaya tha pan par

Ghazal
Jun bhi jo rengne nahin deti thi kan par
Raees Baghi