justuju rahraw-e-ulfat ki jo kaamil ho jae
shauq-e-manzil hi charagh-e-rah-e-manzil ho jae
hae ye josh-e-tamanna ye nigun-sari-e-ishq
wo jo aise mein chale aaen to mushkil ho jae
justuju shart hai manzil nahin mashrut-e-talab
gum ho is tarah ki gard-e-rah-e-manzil ho jae
wasl ka KHwab kuja lazzat-e-didar kuja
hai ghanimat jo tera dard bhi hasil ho jae
zabt bhi sabr bhi imkan mein sab kuchh hai magar
pahle kambaKHt mera dil to mera dil ho jae
aah us aashiq-e-nashad ka jina ai dost
jis ko marna bhi tere ishq mein mushkil ho jae
kaamran hai wo mohabbat jo bane ruh-e-gudaz
dard-e-dil had se guzar jae to KHud dil ho jae
mahfil-e-dost mein chalta to hun ai dida-e-shauq
ishq ka raaz na afsana-e-mahfil ho jae
qabil-e-rashk bane zindagi-e-ishq us ki
jis ki tu zindagi-e-ishq ka hasil ho jae
apne 'ehsan' ko tu hi koi tadbir bata
jis se ye nang-e-mohabbat tere qabil ho jae
Ghazal
Justuju rahraw-e-ulfat ki jo kaamil ho jae
Ehsan Danish