justuju mein kamal karta ja
tapte sahraon se guzarta ja
sard aahon se dil ki aag bujha
garm ashkon se jam bharta ja
aaj mera bharam bhi rah jae
ek uchaTti nigah karta ja
meri pahchan ho jahan se alag
mere KHake mein rang bharta ja
KHud se milne ki hai agar chahat
KHauf ke jal ko katarta ja
tujh ko 'hasrat' banaegi kundan
aag mein kud kar nikharta ja
Ghazal
Justuju mein kamal karta ja
Ajeet Singh Hasrat