jurm-e-hasti ki saza kyun nahin dete mujh ko
log jine ki dua kyun nahin dete mujh ko
sarsar-e-KHun ke tasawwur se larazte kyun ho
KHak-e-sahra hun uDa kyun nahin dete mujh ko
kyun takalluf hai mere nam pe taziron ka
main bura hun to bhala kyun nahin dete mujh ko
ab tumhaare liye KHud apna tamashai hun
dosto dad-e-wafa kyun nahin dete mujh ko
main musafir hi sahi raat ki KHamoshi ka
tum sahar ho to sada kyun nahin dete mujh ko
jins-e-bazar ki surat hun jahan main 'aKHtar'
log shishon mein saja kyun nahin dete mujh ko
Ghazal
Jurm-e-hasti ki saza kyun nahin dete mujhko
Akhtar Imam Rizvi