jurat ai dil mai o mina hai wo KHud-kaam bhi hai
bazm aghyar se KHali bhi hai aur sham bhi hai
zulf ke niche KHat-e-sabz to dekha hi na tha
ai lo ek aur naya dam tah-e-dam bhi hai
chaaragar jaane de taklif-e-mudawa hai abas
maraz-e-ishq se hota kahin aaram bhi hai
ho gaya aaj shab-e-hijr mein ye qaul ghalat
tha jo mashhur ki aaghaz ko anjam bhi hai
kaam-e-jaanan mera lab-e-yar ke bose se siwa
KHugar-e-chashni-e-lazzat-e-dushnam bhi hai
shaiKH ji aap hi insaf se farmaen bhala
aur aalam mein koi aisa bhi badnam bhi hai
zulf o ruKH dair o haram sham o sahar 'aish' in mein
zulmat-e-kufr bhi hai jalwa-e-islam bhi hai
Ghazal
Jurat ai dil mai o mina hai wo KHud-kaam bhi hai
Aish Dehlvi