junun-pasand harif-e-KHirad to hum bhi hain
adu jo nek nahin hai to bad to hum bhi hain
hazar sifr sahi ek adad to hum bhi hain
tumhaare sath azal-ta-abad to hum bhi hain
ab itna naz samundar-mizajiyon pe na kar
ki apne aap mein ek jazr-o-mad to hum bhi hain
hamein qubul kahan kam-sawad karte hain
KHarab-e-mashghala-e-radd-o-kad to hum bhi hain
hum apne aap se aagah is qadar to na the
chalo nishana-e-rashk-o-hasad to hum bhi hain

Ghazal
Junun-pasand harif-e-KHirad to hum bhi hain
Rauf Khair