junun ki fasl aai baDh gai tauqir patthar ki
sar-e-shorida KHud karne laga tadbir patthar ki
ye mushkil kis tarah hal ho nahin shamshir patthar ki
dil-e-sayyaad patthar gardan-e-naKHchir patthar ki
bina aaina chamki kis qadar taqdir patthar ki
tumhaare ru-ba-ru aaya zahe tauqir patthar ki
hamare josh-e-wahshat ne ye hum ko rang dikhlaya
na kuchh taqsir laDkon ki na kuchh taqsir patthar ki
nishan kuchh aap bhi kar den hua dafn aap ka majnun
pae tariKH rehlat kijiye tadbir patthar ki
ragon mein meri peshani ki josh-e-KHun hua paida
hikayat likh chuka jab katib-e-taqdir patthar ki
jo tu samjhe to mere tere dil ki ek surat hai
ye hai taswir miTTi ki wo hai taswir patthar ki
na jis mein lafz-o-mani hon kalam us ko nahin kahte
chaTakna pattharon ka kab hui taqrir patthar ki
tera sauda jahan par tha rasai ho gai wan tak
paDa sar par hamare laD gai taqdir patthar ki
lagaya sang apne hath se tu ne mere sar par
KHusha taqdir meri aur zahe taqdir patthar ki
qasam logo adab se aankh uTha ke main ne dekha ho
tumhaare dar mein lohe ki hai ya zanjir patthar ki
dil-e-saKHt ai 'rashid'-e-zar apna hai garan hum ko
baja hai kis tarah bhaari na ho taswir patthar ki
Ghazal
Junun ki fasl aai baDh gai tauqir patthar ki
Rasheed lakhnavi

