اردو हिंदी
Junun ke josh mein jis ne mohabbat ko hunar jaana | Shaahi Shayari
junun ke josh mein jis ne mohabbat ko hunar jaana

Ghazal

Junun ke josh mein jis ne mohabbat ko hunar jaana

Sahir dehlavi

;

junun ke josh mein jis ne mohabbat ko hunar jaana
subukdoshi samajhta hai wo is sauda mein sar jaana

kisi ka naz tha andaz tha ab sar-ba-sar jaana
udhar chaDhna nigahon mein idhar dil mein utar jaana

tasawwur KHal-o-ariz ka tamasha-e-do-alam hai
yahan aankhon mein rahna hai wahan dil mein utar jaana

junun-e-ishq mein kab tan-badan ka hosh rahta hai
baDha jab josh-e-sauda hum ne sar ko dard-e-sar jaana

hawas-bazi nahin ye ishq-bazi hai KHuda shahid
mohabbat mein hai shart-e-awwalin ji se guzar jaana

miTai apni hasti hum ne ishq-e-jaan-e-jaanan mein
fana mein dekh kar rang-e-baqa ko mo'tabar jaana

sarapa-e-wafa ek zinda-e-jawed o be-gham hai
takalluf-bartaraf gham kya hai jina aur mar jaana

hamari umr ka paimana ab labrez hai 'sahir'
chhalakna farz ho jata hai paimane ka bhar jaana