junun hai zehn mein to hausle talash karo
misal-e-ab-e-rawan raste talash karo
ye iztirab ragon mein bahut zaruri hai
uTho safar ke nae silsile talash karo
ye sar-zamin safar ke liye bahut kam hai
chalo ufaq pe nae marhale talash karo
jo thak gae ho ye bosida zindagi ji kar
to zindagi ke alag zawiye talash karo
jo chahte ho ki aKHbar chal paDe apna
to surKHiyon ke liye hadse talash karo
ye tang-zauq adibon se KHush nahin honge
mushaere ke liye masKHare talash karo
KHuda pe chhoD do ye kal koi paDhe na paDhe
nai ghazal ke liye qafiye talash karo
Ghazal
Junun hai zehn mein to hausle talash karo
Nafas Ambalvi