اردو हिंदी
Junun-e-awwalin shaistagi thi | Shaahi Shayari
junun-e-awwalin shaistagi thi

Ghazal

Junun-e-awwalin shaistagi thi

Zehra Nigaah

;

junun-e-awwalin shaistagi thi
wahi pahli mohabbat aaKHiri thi

jahan hum phir se basna chahte the
wo basti ho ke duniya ho chuki thi

kushada the bahut bazu-e-wahshat
ye zanjir-e-KHirad uljhi hui thi

kabhi har lafz ke sau sau maani
kabhi puri kahani an-kahi thi

sahar aaghaz-e-shab itmam-e-hujjat
ajab 'zahra' ki waz-e-zindagi thi