اردو हिंदी
Judai ke sadmon ko Tale hue hain | Shaahi Shayari
judai ke sadmon ko Tale hue hain

Ghazal

Judai ke sadmon ko Tale hue hain

Muneer Shikohabadi

;

judai ke sadmon ko Tale hue hain
chale jao hum dil sambhaale hue hain

zamane ki fikron ne khaya hai hum ko
hazaron ke munh ke niwale hue hain

gazand apne hathon se pahuncha hai hum ko
ye sanp aastinon ke pale hue hain

nahin nam ko un mein bu-e-murawwat
ye gul-ru mere dekhe-bhaale hue hain

nahin e'tibar ek dam zindagi ka
azal se qaza ke hawale hue hain

hazaron ko the sarfaroshi ke dawe
tasadduq fida hone wale hue hain

ham-awaz hain aish o gham donon lekin
tarane ye Thahre wo nale hue hain

'munir' ab rah-e-haq mein laghzish na hogi
yad-ullah mujh ko sambhaale hue hain