juda hon yar se hum aur na ho raqib juda
hai apna apna muqaddar juda nasib juda
teri gali se nikalte hi apna dam nikla
rahe hai kyun ki gulistan se andalib juda
dikha de jalwa jo masjid mein wo but-e-kafir
to chiKH uTThe moazzin juda KHatib juda
juda na dard-e-judai ho gar mere aaza
huruf-e-dard ki surat hun ai tabib juda
hai aur ilm o adab maktab-e-mohabbat mein
ki hai wahan ka moallim juda adib juda
hujum-e-ashk ke hamrah kyun na ho nala
ki fauj se nahin hota kabhi naqib juda
firaq-e-KHuld se gandum hai sina-chaak ab tak
ilahi ho na watan se koi gharib juda
kiya habib ko mujh se juda falak ne magar
na kar saka mere dil se gham-e-habib juda
karen judai ka kis kis ki ranj hum ai 'zauq'
ki hone wale hain hum sab se an-qarib juda
Ghazal
Juda hon yar se hum aur na ho raqib juda
Sheikh Ibrahim Zauq