jon sabza rahe ugte hi pairon ke tale hum
barsat ke mausam mein bhi phule na phale hum
mahrum-e-chaman murgh-e-qafas band-e-azal hain
sayyaad ke pinjre mein hain bachpan se pale hum
jab ghair se hota hai wo saffak baghal-gir
tegh-e-safhani ko lagate hain gale hum
chakki ki tarah charKH ne pisa to hamin ko
dana hain zamane ke gae us se wali hum
ye shauq-e-shahadat hai jo tegh us ne alam ki
gardan ko jhukae hue sayyaad chale hum
wo mast hain jab dar pe aDe pir-e-mughan ke
be-mai ke piye phir nahin Tale se Tale hum
abru ki hawa bhi na lagi bul-hawason ko
us tegh ki rose aanch mein be-ab jale hum
kuchh gham nahin but samjhen bad-o-nek jo chahen
allah ke bande hain bure hain ki bhale hum

Ghazal
Jon sabza rahe ugte hi pairon ke tale hum
Shad Lakhnavi