jo zamane ka ham-zaban na raha
wo kahin bhi to kaamran na raha
is tarah kuchh badal gai hai zamin
hum ko ab KHauf-e-asman na raha
jaane kin mushkilon se jite hain
kya karen koi mehrban na raha
aisi beganagi nahin dekhi
ab kisi ka koi yahan na raha
har jagah bijliyon ki yurish hai
kya kahin apna aashiyan na raha
muflisi kya gila karen tujh se
sath tera kahan kahan na raha
hasraten baDh ke chumti hain qadam
manzilon ka koi nishan na raha
KHun-e-dil apna jal raha hai magar
shama ke sar pe wo dhuan na raha
gham nahin hum tabah ho ke rahe
hadsa bhi to na-gahan na raha
qafile KHud sambhal sambhal ke baDhe
jab koi mir-e-karwan na raha
Ghazal
Jo zamane ka ham-zaban na raha
Baqar Mehdi