jo yaad-e-yar se guft-o-shunid kar li hai
to goya phul se KHushbu kashid kar li hai
judaiyon mein bhi DhunDi hain qurbaten main ne
zarar-rasan thi jo shai wo mufid kar li hai
nahin khule the jo manzar meri basarat par
tasawwuraat mein un ki bhi did kar li hai
sitare Tank diye hain falak ki chadar par
aur apni chadar-e-shab be-nawid kar li hai
main chahta to use kuchh qarib le aata
masarraton ki jo saat baid kar li hai
use to dukh hi nahin kuchh meri judai ka
saza KHud apne liye hi shadid kar li hai
use bhulane ki koshish mein yaad kar kar ke
KHud apni zist hi mushkil mazid kar li hai
husain ibn-e-ali ki taraf hi lauTenge
jinhon ne baiat-e-fikr-e-yazid kar li hai
ata-e-'mir' hai mujh par ki main ne bhi raushan
ghazal ki shama ba-tarz-e-jadid kar li hai
jacha hai ab kahin ja kar 'nasim' jama-e-zist
kahin kahin se jo qat-o-burid kar li hai
Ghazal
Jo yaad-e-yar se guft-o-shunid kar li hai
Naseem Sahar