jo wo nazar basar-e-lutf aam ho jae
ajab nahin ki hamara bhi kaam ho jae
sharab-e-shauq ki qimat hai naqd-e-jaan-e-aziz
agar ye bais-e-kaif-e-dawam ho jae
rahin-e-yas rahen ahl-e-arzu kab tak
kabhi to aap ka darbar aam ho jae
jo aur kuchh ho teri did ke siwa manzur
to mujh pe KHwahish-e-jannat haram ho jae
wo dur hi se hamein dekh len yahi hai bahut
magar qubul hamara salam ho jae
agar wo husn-e-dil-ara kabhi ho jalwa farosh
farogh-e-nur mein gum zarf-e-baam ho jae
suna hai bar-sar-e-baKHshish hai aaj pir mughan
hamein bhi kash ata koi jam ho jae
tere karam pe hai mauquf kaamrani-e-shauq
ye na-tamam ilahi tamam ho jae
sitam ke baad karam hai jafa ke baad ata
hamein hai bas jo yahi iltizam ho jae
ata ho soz wo ya rab junun-e-'hasrat' ko
ki jis se puKHta ye sauda-e-KHam ho jae
Ghazal
Jo wo nazar basar-e-lutf aam ho jae
Hasrat Mohani