اردو हिंदी
Jo tu gaya tha to tera KHayal rah jata | Shaahi Shayari
jo tu gaya tha to tera KHayal rah jata

Ghazal

Jo tu gaya tha to tera KHayal rah jata

Jamal Ehsani

;

jo tu gaya tha to tera KHayal rah jata
hamara koi to pursan-e-haal rah jata

bura tha ya wo bhala lamha-e-mohabbat tha
wahin pe silsila-e-mah-o-sal rah jata

bichhaDte waqt Dhalakta na gar in aankhon se
is ek ashk ka kya kya malal rah jata

tamam aaina-KHane ki laj rah jati
koi bhi aks agar be-misal rah jata

gar imtihan-e-junun mein na karte qais ki naql
'jamal' sab se zaruri sawal rah jata