اردو हिंदी
Jo tumhaare lab-e-jaan-baKHsh ka shaida hoga | Shaahi Shayari
jo tumhaare lab-e-jaan-baKHsh ka shaida hoga

Ghazal

Jo tumhaare lab-e-jaan-baKHsh ka shaida hoga

Akbar Allahabadi

;

jo tumhaare lab-e-jaan-baKHsh ka shaida hoga
uTh bhi jaega jahan se to masiha hoga

wo to musa hua jo talib-e-didar hua
phir wo kya hoga ki jis ne tumhein dekha hoga

qais ka zikr mere shan-e-junun ke aage
agle waqton ka koi baadiya-paima hoga

aarzu hai mujhe ek shaKHs se milne ki bahut
nam kya lun koi allah ka banda hoga

lal-e-lab ka tere bosa to main leta hun magar
Dar ye hai KHun-e-jigar baad mein pina hoga