jo tum ne puchha to harf-e-ulfat bar aaya sahib hamare lab se
so is ko sun kar hue KHafa tum na kahte the hum isi sabab se
na dete hum to kabhi dil apna na hote hargiz KHarab-o-ruswa
wale karen kya ki tum ne hum ko dikhain jhumkin ajab hi chhab se
wo jad-e-mushkin jo din ko dekhe to yaad us ki mein sham hi se
ye pech-o-tab aa ke dil se uljhe ki phir sahar tak na suljhe shab se
lagai funduq jo hum ne us ki kalai pakDi to hans ke bola
ye ungli pahunche ki yan na Thahri bas aap rahiye zara adab se
kaha tha hum kuchh kahenge tum se kaha to aisa ki hum na samjhe
samajhte kyun-kar ki us ne lab se suKHan nikala kuchh aise Dhab se
hawas to bose ki hai nihayat pa kijiye kya ki bas nahin hai
jo dastaras ho to misl-e-saghar lagawen lab ko hum un ke lab se
kisi ne puchha 'nazir' ko bhi tumhaari mahfil mein bar hoga
kaha ki hoga wo bola kab se kaha kabhu ka kabhi, na ab se
Ghazal
Jo tumne puchha to harf-e-ulfat bar aaya sahib hamare lab se
Nazeer Akbarabadi