اردو हिंदी
Jo teri mahfil se zauq-e-KHam le kar aae hain | Shaahi Shayari
jo teri mahfil se zauq-e-KHam le kar aae hain

Ghazal

Jo teri mahfil se zauq-e-KHam le kar aae hain

Syeda Shan-e-Meraj

;

jo teri mahfil se zauq-e-KHam le kar aae hain
apne sar wo KHud hi ek ilzam le kar aae hain

zindagi ke narm kandhon par liye phirte hain hum
gham ka jo bar-e-giran inam le kar aae hain

waqt ke nadan parinde zoam-e-danai ke gird
KHub-surat KHwahishon ke dam le kar aae hain

ek manzar par nazar Thahre to Thahre kis tarah
hum mizaj-e-gardish-e-ayyam le kar aae hain

be-KHudi achchhi thi ab to aagahi ki shakl mein
gham hi gham na-waqif-e-anjam le kar aae hain

pattharon ke raste se apne shishe ke qadam
sai-e-la-hasil ka ek paigham le kar aae hain

be-amal logon se jab puchho to kahte hain ki 'shan'
hum azal se qismat-e-nakaam le kar aae hain