jo tang aa kar kisi din dil pe hum kuchh Than lete hain
sitam dekho ki wo bhi chhuTte pahchan lete hain
ba-qadr-e-hausla sahra-e-wahshat chhan lete hain
musafir hain safar ke waste saman lete hain
KHuda chahe to ab ke qatl-gah mein mushkil aasan ho
tere bimar-e-nahaq maut ka ehsan lete hain
kahin marqad pe jate hain kahin ghar tak nahin jate
kisi ko jaan dete hain kisi ki jaan lete hain
kudurat taki rah jae sab apne daman-e-tar mein
sharab-e-shauq hum pine ke pahle chhan lete hain
hamari shairi zinda hui ai 'shad' marne par
ki shaeq naqd-e-jaan de de ke ab diwan lete hain
Ghazal
Jo tang aa kar kisi din dil pe hum kuchh Than lete hain
Shad Azimabadi