اردو हिंदी
Jo saza chaho mohabbat se do yaro mujhko | Shaahi Shayari
jo saza chaho mohabbat se do yaro mujhko

Ghazal

Jo saza chaho mohabbat se do yaro mujhko

Asghar Mehdi Hosh

;

jo saza chaho mohabbat se do yaro mujh ko
lekin aKHlaq ke patthar se na maro mujh ko

aabshaaron ki tarah main nahin girne wala
dhup ki tarah pahaDon se utaro mujh ko

main to har haal mein Dubunga magar aKHlaqan
ye zaruri hai ki sahil se pukaro mujh ko

azmat-e-tishna-labi bhul na jao logo
phir kisi dasht se ek bar guzaro mujh ko

tum to Dube hue KHurshid ke parwarda ho
tum nahin jaante ai chand sitaro mujh ko