jo saqiya tu ne pi ke hum ko diya hai jam-e-sharab aadha
tu apne danton se kaT kar de hamare munh mein kabab aadha
wo pur-gunah hun ki rah gae sab usi mein din kaT gaya wo sara
hanuz mahshar ke mahkame mein hua tha mera hisab aadha
kahan gai ab wo lan-tarani na tab jalwe ki lae aashiq
hunuz khola tha bahr-e-didar us ne band-e-naqab aadha
jaza-e-kaamil jo chahta hai to zabh kar Dal jald qatil
na chhoDna mujh ko nim-bismil ki paega tu sawab aadha
dimagh dekho mere sanam ka gila jo karta hun main sitam ka
to dete hain sari baat ka wo mujhe ba-diqqat jawab aadha
safed-o-surKH hai aisi rangat ki jab bana hoga us ka putla
milaya howega us mein sanea ne maida aadha shahab aadha
dupaTTa aab-e-rawan ka sar ka jo us ki mahram se samjhe ye hum
ki bahr-e-husn-e-sanam ka hum ko diya dikhai habab aadha
ishaara hai saf ai 'qalaq' ye ki aao sahba-kashi ho baham
jo us ne bheji hai apni jhuTi sharab aadhi kabab aadha
Ghazal
Jo saqiya tu ne pi ke hum ko diya hai jam-e-sharab aadha
Arshad Ali Khan Qalaq